engelska request for "Maikada"

Help translate from urdu to engelska song Maikada by Muhammad Samie
Requested by: yacinka yacinka on 11 jan 2022 - 14:28
Originaltext
urdu
Översättning
engelska

Maikada

Yeh hai maikada yahan rind hain
Yahan sabka saaqi imaam hai
 
Yeh haram nahin hai ey shaikh ji
Yahan paarsaai haraam hai
 
Yeh hai maikada, yeh hai maikada
 
Jo zara si pi ke behek gaya
Usse maikade se nikaal do
Yahan kam nazar ka guzar nahin
Yahan ehl-e-zarf ka kaam hai
 
Yeh hai maikada, yeh hai maikada
 
Yeh janaab-e-shaikh ka falsafa
Jo samajh mein meri na aa saka
Jo wahan piyo toh halaal hai
Jo yahan piyo toh haraam hai
 
Yeh hai maikada, yeh hai maikada
 
Koi baada kash koi tishna lab
Toh kisi ke haath mein jaam hai
Ab ismein koi kahe ga kya
Yeh toh maikade ka nizaam hai
 
Yeh hai maikada, yeh hai maikada
 
Kuch soch ke shama pe parwaana jalaa hoga
Shayad issi jalne mein jeene ka mazaa hoga
Jis waqt yeh mai tuney botal mein bhari hogi
Saaqi tera masti se kya haal hua hoga
Maikhaane se masjid tak paaye gaye naqsh-e-paa
Ya rind gaye honge ya shaikh gaya hoga
 
Sab se buland hai mere saaqi tera muqaam
Leta nahin beghair wuzu tera koi naam
Insaan toh kya farishte bhi karte hain ehtaraam
Hain maah o aaftaab tere maikade ke jaam
Qaim muqaam hai tu risaalat ma'ab (SAW) ka
Qindeel-e-arsh hai tera sheesha sharaab ka
 
Saaqi datti hui hai kharaabaatiyon ki saf
Phaila hua hai abr-e-gauharbaar har taraf
Botal ka kaak khol utha kaif baar-e-daf
Laa baada-e-medina o paimaana-e-najaf
Tatheer ki rida hai falak par tani hui
De daaman-e-Rasool-e-Khudaa (SAW) mein chhani hui
 
Khursheed-e-mudda mera burj-e-sharaf mein hai
Ik saaqi karbala mein mera ik najaf mein hai
Le woh najaf ki simt se aane lagi sada
Saaqi mera salaam-e-adab leke main chala
Maula-e-kainaat aur awaaz de mujhe
Ey Jibraail quwwat-e-parwaaz de mujhe
 
 
Logga in eller registrera dig för att lägga ut en översättning
expand collapse Song details